Aksar pooche gaye sawal

Next Me Token ke baare me sabse zyada poochhe jaane wale sawal.

Next Me Token kya hai?

Next Me Token ek digital token aur queue app hai. Business apna QR lagata hai, customer use scan karke apna live token number leta hai, aur owner phone ya computer se number aage badhata hai. Clinic, lab, salon, repair shop, bank ya office counter, jahan bhi line lagti hai, wahan kaam aata hai.

Customer ko app download karna padega?

Nahi. QR scan karne par website browser me khulti hai. Customer ko sirf Google se login karna hota hai aur apna naam confirm karna hota hai.

Kya ye phone aur computer dono par chalta hai?

Haan. Next Me Token browser me chalta hai, isliye Android, iPhone, tablet, Windows aur Mac par khul jata hai. Owner apni queue phone ya computer, kisi se bhi chala sakta hai. Chahein to ise Home Screen ya desktop par app ki tarah install bhi kar sakte hain, par ye zaroori nahi.

Tutorial videos kahan dekhein?

Hamare official YouTube channel (youtube.com/@nextmetoken) par Hindi me step-by-step tutorial videos hain. Setup aur roz ke istemal ke liye sabse nayi videos dekh lein.

Keemat kitni hai?

Customer ke liye hamesha free. Business owner ko queue banate hi 5 din ka free trial milta hai. Uske baad ₹1 = 1 din ke hisaab se din add karne hote hain. Kam se kam ₹10 (10 din) aur ek baar me zyada se zyada ₹500. Koi monthly plan ya auto-renewal nahi hai.

Kya ye sabse sasta token app hai?

Doosre apps ke daam badalte rehte hain, isliye hum "sabse sasta" ka dawa nahi karte. Jo pakka hai wo ye: sirf ₹1 per din, koi monthly plan nahi, koi hardware ya machine nahi khareedni, aur customer ko kuch nahi dena. Kisi bhi queue app se compare karte waqt ye dekhein: har mahine kitna dena hai, hardware lagta hai ya nahi, customer ko app download karni padti hai ya nahi, aur phone aur computer dono par chalta hai ya nahi.

Jinke paas phone nahi hai unko token kaise denge?

Owner console me "Walk-in add karein" se customer ka naam likhkar uske liye number nikal sakte hain. Family ya group ke liye bhi yahi tareeka hai.

Kya number awaaz me bolta hai?

Haan. Owner console me "Awaaz announcement" chalu karne par agla number Hindi ya English me bola jata hai. Awaaz tabhi aati hai jab screen chalu ho, phone lock ya off hone par nahi aayegi.

Customer ko apna number kaise pata chalta hai?

Live screen par bada number dikhata hai ki abhi kaun sa number chal raha hai, aur neeche customer ka apna token dikhta hai. Number apne aap badalta hai, refresh nahi karna padta. Intezaar ka andaza bhi dikhta hai, jo sirf anumaan hota hai.

Kaunsi personal jaankari deni hoti hai?

Customer ko sirf naam aur Google login chahiye. Owner ke liye business ka naam aur queue ki settings chahiye. App location ya ads ka istemal nahi karta. Card ya UPI details hum store nahi karte.

Ek account me kitni queue chala sakte hain?

Abhi ek account me ek active queue (ek QR) chalti hai. Us queue ka token limit, line pause, din khatam aur dobara shuru karne ke controls milte hain.

Payment kaise hota hai?

Owner payment Razorpay ke secure checkout se karta hai. Razorpay par jo tareeke available hote hain (jaise UPI ya card), wahi dikhte hain. Payment verify hone ke baad hi din add hote hain. Details Refund Policy page par hain.

Kis tarah ke business ke liye hai?

Jahan bhi bheed ya line lagti hai: clinic, dispensary, pathology lab, salon, barber shop, repair ya service center, mobile shop, bank ya office counter, medical store, restaurant, mithai ya chai ki dukaan, cyber cafe aur seva kendra.

Free me try karein

Queue banate hi 5 din free trial. Customer ko kuch nahi dena.

Login karke shuru karein