Pricing: 5 din free, phir ₹1 per din

Customer ke liye hamesha free. Business owner ko queue banate hi 5 din ka free trial milta hai. Uske baad ₹1 = 1 din. Koi monthly plan nahi, koi hardware nahi.

KaunKya milta haiKeemat
CustomerQR scan, token, live numberFree
Owner, trialQueue banate hi 5 dinFree
Owner, trial ke baadHar din ke liye 1 din ka balance₹1 per din
RechargeKam se kam ₹10 (10 din). Ek baar me zyada se zyada ₹500₹1 = 1 din

Kya kya shamil hai

  • QR print ya save karne ki suvidha
  • Live token number aur intezaar ka andaza
  • Walk-in token, token limit, line pause, din khatam, undo
  • Hindi aur English me awaaz announcement
  • Phone aur computer dono par console
  • Token history

Abhi ek account me ek active queue (ek QR) chalti hai.

Doosre option se compare karte waqt

Sirf shuruaati keemat nahi, kul kharcha dekhein: monthly plan, hardware ya kiosk ka paisa, setup charge, aur customer ko app download karni padti hai ya nahi. Next Me Token me inme se kuch bhi extra nahi lagta. Doosre apps ke daam badalte rehte hain, isliye unhe unki website par khud check karein. Lamba comparison guide: Queue aur token app kaise chunein.

Aksar pooche gaye sawal

Kya customer ko bhi paisa dena padta hai?

Nahi. Customer ke liye Next Me Token hamesha free hai.

Kya koi monthly plan ya auto-renewal hai?

Nahi. Aap din prepaid add karte hain aur jitne din chahiye utne hi. Apne aap paisa nahi katta.

Trial khatam hone par kya hota hai?

Aap din add karenge to queue chalti rahegi. Din nahi honge to Agla, Pichla jaise controls band ho jate hain. Aapki history safe rehti hai.

Payment kaise hota hai?

Razorpay ke secure checkout se. Payment verify hone ke baad hi din add hote hain.

Refund aur cancellation: Refund Policy.

Free me try karein

Queue banate hi 5 din free trial. Customer ko kuch nahi dena.

Login karke shuru karein